Naya Raasta


Chalo aaj koi nayi raah dhoondte hain,
Chalo aaj koi naya raasta banaate hain.


Bahut chal liya in chaudi-khuli sadko pe,
Bhedon ki tarah, bahut chal liya;
Chalo aaj koi patli pag-dandi pakadte hain,
Chalo aaj koi naya raasta banaate hain.

Shor bhare bazaaron se toh roz nikalte hain,
Sarkaron ko, Dukaandaaron ko, roz koste hain,
Chalo aaj mohalle ki koi nayi gali dhoondte hain,
Chalo aaj koi naya raasta banaate hain.


Baag-bagichon mein bhi pakke footpath hain ab,
Janglon-viraano mein bhi lagey kantiley taar hain ab,
Chalo aaj koi naya pahaad chadte hain,
Chalo aaj koi naya raasta banaate hain.

Bachpan se samjhaaya, seedhi raah chalo,
Bataaya gaya, ki sadak ke baayein taraf chalo,
Ik baar hi sahi, chalo daayien taraf chalte hain.
Chalo aaj koi naya raasta banaate hain.

"Sab jo karte hain, tum bhi wahi karo"
"Sab jo kehte hain, tum bhi wahi kaho"
Chalo insaan ko machine ban-ne se bachaate hain,
Chalo aaj koi naya raasta banaate hain.


P.S: Walk/Drive on the wrong side at your own risk. Not everyone can break rules without getting some bones broken. :) :D

Comments